kah do koī saaqī se ki ham marte haiñ pyāse
gar mai nahīñ de zahr hī kā jaam balā se
jo kuchh hai so hai us ke taġhāful kī shikāyat
qāsid se hai takrār na jhagḌā hai sabā se
dallāla ne ummīd dilā.ī to hai lekin
dete nahīñ kuchh dil ko tasallī ye dilāse
hai vasl to taqdīr ke haath ai shah-e-ḳhūbāñ
yaañ haiñ to faqat terī mohabbat ke haiñ pyāse
pyāse tire sar-gashta haiñ jo rāh-e-talab meñ
hoñToñ ko vo karte nahīñ tar āb-e-baqā se
dar guzre davā se to bharose pe duā ke
dar guzreñ duā se bhī duā hai ye ḳhudā se
ik dard ho bas aaTh pahar dil meñ ki jis ko
taḳhfīf davā se ho na taskīn duā se
'hālī' dil-e-insāñ meñ hai gum daulat-e-kaunain
sharminda hoñ kyuuñ ġhair ke ehsān-o-atā se
jab vaqt paḌe dījiye dastak dar-e-dil par
jhukiye fuqarā se na jhamkiye umrā se