go javānī meñ thī kaj-rā.ī bahut
par javānī ham ko yaad aa.ī bahut
zer-e-burqa.a tū ne kyā dikhlā diyā
jam.a haiñ har sū tamāshā.ī bahut
haT pe is kī aur pis jaate haiñ dil
raas hai kuchh us ko ḳhud-rā.ī bahut
sarv yā gul aañkh meñ jachte nahīñ
dil pe hai naqsh us kī rānā.ī bahut
chuur thā zaḳhmoñ meñ aur kahtā thā dil
rāhat is taklīf meñ paa.ī bahut
aa rahī hai chāh-e-yūsuf se sadā
dost yaañ thoḌe haiñ aur bhaa.ī bahut
vasl ke ho ho ke sāmāñ rah ga.e
meñh na barsā aur ghaTā chhā.ī bahut
jāñ-nisārī par vo bol uTThe mirī
haiñ fidā.ī kam tamāshā.ī bahut
ham ne har adnā ko aalā kar diyā
ḳhāksārī apnī kaam aa.ī bahut
kar diyā chup vāqi.āt-e-dahr ne
thī kabhī ham meñ bhī goyā.ī bahut
ghaT ga.iiñ ḳhud talḳhiyāñ ayyām kī
yā ga.ī kuchh baḌh shakebā.ī bahut
ham na kahte the ki 'hālī' chup raho
rāst-goī meñ hai rusvā.ī bahut