junūñ kār-farmā huā chāhtā hai
qadam dasht paimā huā chāhtā hai
dam-e-girya kis kā tasavvur hai dil meñ
ki ashk ashk dariyā huā chāhtā hai
ḳhat aane lage shikva-āmez un ke
milāp un se goyā huā chāhtā hai
bahut kaam lene the jis dil se ham ko
vo sarf-e-tamannā huā chāhtā hai
abhī lene paa.e nahīñ dam jahāñ meñ
ajal kā taqāzā huā chāhtā hai
mujhe kal ke vaade pe karte haiñ ruḳhsat
koī va.ada puurā huā chāhtā hai
fuzūñ tar hai kuchh in dinoñ zauq-e-isyāñ
dar-e-rahmat ab vā huā chāhtā hai
qalaq gar yahī hai to rāz-e-nihānī
koī din meñ rusvā huā chāhtā hai
vafā shart-e-ulfat hai lekin kahāñ tak
dil apnā bhī tujh sā huā chāhtā hai
bahut haz uThātā hai dil tujh se mil kar
qalaq dekhiye kyā huā chāhtā hai
ġham-e-rashk ko talḳh samjhe the hamdam
so vo bhī gavārā huā chāhtā hai
bahut chain se din guzarte haiñ 'hālī'
koī fitna barpā huā chāhtā hai