vaañ agar jaa.eñ to le kar jaa.eñ kyā
muñh use ham jā ke ye dikhlā.eñ kyā
dil meñ hai baaqī vahī hirs-e-gunāh
phir kiye se apne ham pachhtā.eñ kyā
aao leñ us ko hamīñ jā kar manā
us kī be-parvā.iyoñ par jaa.eñ kyā
dil ko masjid se na mandir se hai uns
aise vahshī ko kahīñ bahlā.eñ kyā
jāntā duniyā ko hai ik khel tū
khel qudrat ke tujhe dikhlā.eñ kyā
umr kī manzil to juuñ tuuñ kaT ga.ī
marhale ab dekhiye pesh aa.eñ kyā
dil ko sab bātoñ kī hai nāseh ḳhabar
samjhe samjhā.e ko bas samjhā.eñ kyā
maan liije shaiḳh jo da.avā kare
ik buzurg-e-dīñ ko ham jhuTlā.eñ kyā
ho chuke 'hālī' ġhazal-ḳhvānī ke din
rāgnī be-vaqt kī ab gaa.eñ kyā