Altaf Hussain Hali

hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914

hai justujū ki ḳhuub se hai ḳhūb-tar kahāñ

ab Thahartī hai dekhiye kar nazar kahāñ

haiñ daur-e-jām-e-avval-e-shab meñ ḳhudī se duur

hotī hai aaj dekhiye ham ko sahar kahāñ

rab is iḳhtilāt anjām ho ba-ḳhair

thā us ko ham se rabt magar is qadar kahāñ

ik umr chāhiye ki gavārā ho nīsh-e-ishq

rakkhī hai aaj lazzat-e-zaḳhm-e-jigar kahāñ

bas ho chukā bayāñ kasal-o-ranj-e-rāh

ḳhat mire javāb hai ai nāma-bar kahāñ

kaun o makāñ se hai dil-e-vahshī kanāra-gīr

is ḳhānumāñ-ḳharāb ne DhūñDā hai ghar kahāñ

ham jis pe mar rahe haiñ vo hai baat kuchh aur

aalam meñ tujh se laakh sahī magar kahāñ

hotī nahīñ qubūl duā tark-e-ishq

dil chāhtā na ho to zabāñ meñ asar kahāñ

'hālī' nashāt-e-naġhma-o-mai DhūñDhte ho ab

aa.e ho vaqt-e-sub.h rahe raat bhar kahāñ

Top Urdushayar.com