hashr tak yaañ dil shakebā chāhiye
kab mileñ dilbar se dekhā chāhiye
hai tajallī bhī naqāb-e-rū-e-yār
us ko kin āñkhoñ se dekhā chāhiye
ġhair-mumkin hai na ho tāsīr-e-ġham
hāl-e-dil phir us ko likkhā chāhiye
hai dil-afgāroñ kī dildārī zarūr
gar nahīñ ulfat madārā chāhiye
hai kuchh ik baaqī ḳhalish ummīd kī
ye bhī miT jaa.e to phir kyā chāhiye
dostoñ kī bhī na ho parvā jise
be-niyāzī us kī dekhā chāhiye
bhā ga.e haiñ aap ke andāz o naaz
kījiye iġhmāz jitnā chāhiye
shaiḳh hai in kī nigah jaadū bharī
sohbat-e-rindāñ se bachnā chāhiye
lag ga.ī chup 'hālī'-e-ranjūr ko
haal is kā kis se pūchhā chāhiye