hai ye takiya tirī atāoñ par
vahī isrār hai ḳhatāoñ par
raheñ nā-āshnā zamāne se
haq hai terā ye āshnāoñ par
rahravo bā-ḳhabar raho ki gumāñ
rahzanī kā hai rahnumāoñ par
hai vo der āshnā to aib hai kyā
marte haiñ ham inhīñ adāoñ par
us ke kūche meñ haiñ vo be-par o baal
uḌte phirte haiñ jo havāoñ par
shahsavāroñ pe band hai jo raah
vaqf hai yaañ barahna paañv par
nahīñ mun.im ko us kī buuñd nasīb
meñh barastā hai jo gadāoñ par
nahīñ mahdūd baḳhshisheñ terī
zāhidoñ par na pārsāoñ par
haq se darḳhvāst afv kī 'hālī'
kiije kis muñh se in ḳhatāoñ par