tire va.ade kā har ik ko agar e'tibār hotā
to jahāñ meñ kuchh na hotā faqat intizār hotā
abhī kam hai soz-e-ulfat ki nafas sharar-fishāñ hai
agar aag tez hotī to ye sho.ala-bār hotā
dil-o-tīr-e-ḳhūñ-chakā kī vo shabīh khīñch detā
jo lahū kā koī qatra sar-e-nok-e-ḳhār hotā
mujhe dard bhī thā rāhat mujhe ġham bhī thā masarrat
jo vo mujh ko rañj de kar kabhī ġham-gusār hotā
jo bharā hai ġham se siina to sukūt hī hai behtar
ki laboñ par aah aatī to ik ishtihār hotā
kabhī yuuñ miTā na saktā use āsmān-e-zālim
tire dar pe o sitamgar jo mirā mazār hotā
ye hijāb-e-jism-e-ḳhākī ki hai diid kā munāfī
kabhī darmiyāñ se uThtā to visāl-e-yār hotā
na huā asar kisī par mire nāla-e-hazīñ kā
tirā tiir thā na zālim ki jigar ke paar hotā
abhī aur tuul dete ġham-e-ishq ko 'nazar' ham
agar apnī zindagī kā hameñ e'tibār hotā