vasl kā us ke dil-e-zār tamannā.ī hai
na mulāqāt hai jis se na shanāsā.ī hai
qat.a ummīd ne dil kar diye yaksū sad shukr
shakl muddat meñ ye allāh ne dikhlā.ī hai
quvvat-e-dast-e-ḳhudā.ī hai shakebā.ī meñ
vaqt jab aa ke paḌā hai yahī kaam aa.ī hai
Dar nahīñ ġhair kā jo kuchh hai so apnā Dar hai
ham ne jab khaa.ī hai apne hī se zak khaa.ī hai
nashe meñ chuur na hoñ jhāñjh meñ maḳhmūr na hoñ
pand ye pīr-e-ḳharābāt ne farmā.ī hai
nazar aatī nahīñ ab dil meñ tamannā koī
baad muddat ke tamannā mirī bar aa.ī hai
baat sachchī kahī aur uñgliyāñ uTThīñ sab kī
sach meñ 'hālī' koī rusvā.ī sī rusvā.ī hai