ḳhūbiyāñ apne meñ go be-intihā paate haiñ ham
par har ik ḳhūbī meñ daaġh ik aib kā paate haiñ ham
ḳhauf kā koī nishāñ zāhir nahīñ afa.āl meñ
go ki dil meñ muttasil ḳhauf-e-ḳhudā paate haiñ ham
karte haiñ taa.at to kuchh ḳhvāhāñ numā.ish ke nahīñ
par gunah chhup chhup ke karne meñ mazā paate haiñ ham
diida o dil ko ḳhayānat se nahīñ rakh sakte baaz
garche dast-o-pā ko aksar be-ḳhatā paate haiñ ham
dil meñ dard-e-ishq ne muddat se kar rakkhā hai ghar
par use ālūda-e-hirs-o-havā paate haiñ ham
ho ke nādim jurm se phir jurm karte haiñ vahī
jurm se go aap ko nādim sadā paate haiñ ham
haiñ fidā un dostoñ par jin meñ ho sidq o safā
par bahut kam aap meñ sidq o safā paate haiñ ham
go kisī ko aap se hone nahīñ dete ḳhafā
ik jahāñ se aap ko lekin ḳhafā paate haiñ ham
jānte apne sivā sab ko haiñ be-mehr o vafā
apne meñ gar shamma-e-mehr-o-vafā paate haiñ ham
buḳhl se mansūb karte haiñ zamāne ko sadā
gar kabhī taufīq-e-īsār o atā paate haiñ ham
ho agar maqsad meñ nākāmī to kar sakte haiñ sabr
dard-e-ḳhud-kāmī ko lekin be-davā paate haiñ ham
Thaharte jaate haiñ jitne chashm-e-ālam meñ bhale
haal nafs-e-dūñ kā utnā hī burā paate haiñ ham
jis qadar jhuk jhuk ke milte haiñ buzurg o ḳhurd se
kibr o naaz utnā hī apne meñ sivā paate haiñ ham
go bhalā.ī karke ham-jinsoñ se ḳhush hotā hai jī
tah-nashīñ us meñ magar durd-e-riyā paate haiñ ham
hai ridā-e-nek-nāmī dosh par apne magar
daaġh rusvā.ī ke kuchh zer-e-ridā paate haiñ ham
raah ke tālib haiñ par be-rāh paḌte haiñ qadam
dekhiye kyā DhūñDhte haiñ aur kyā paate haiñ ham
nuur ke ham ne gale dekhe haiñ ai 'hālī' magar
rañg kuchh terī alāpoñ meñ nayā paate haiñ ham