Altaf Hussain Hali

haq wafa ke jo hum jatane lage

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914
haq vafā ke jo ham jatāne lage
aap kuchh kah ke muskurāne lage
thā yahāñ dil meñ tān-e-vasl-e-adū
uzr un kī zabāñ pe aane lage
ham ko jiinā paḌegā furqat meñ
vo agar himmat āzmāne lage
Dar hai merī zabāñ na khul jaa.e
ab vo bāteñ bahut banāne lage
jaan bachtī nazar nahīñ aatī
ġhair ulfat bahut jatāne lage
tum ko karnā paḌegā uzr-e-jafā
ham agar dard-e-dil sunāne lage
saḳht mushkil hai sheva-e-taslīm
ham bhī āḳhir ko jī churāne lage
jī meñ hai luuñ razā-e-pīr-e-muġhāñ
qāfile phir haram ko jaane lage
sirr-e-bātin ko faash kar yā rab
ahl-e-zāhir bahut satāne lage
vaqt-e-ruḳhsat thā saḳht 'hālī' par
ham bhī baiThe the jab vo jaane lage
Top Urdushayar.com