Altaf Hussain Hali

ghar hai wahshat-KHez aur basti ujaD

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914
ghar hai vahshat-ḳhez aur bastī ujaaḌ
ho ga.ī ek ik ghaḌī tujh bin pahāḌ
aaj tak qasr-e-amal hai nā-tamām
bañdh chukī hai bār-hā khul khul ke paaḌ
hai pahuñchnā apnā choTī tak muhāl
ai talab niklā bahut ūñchā pahāḌ
khelnā aatā hai ham ko bhī shikār
par nahīñ zāhid koī TaTTī kī aaḌ
dil nahīñ raushan to haiñ kis kaam ke
sau shabistāñ meñ agar raushan haiñ jhaaḌ
iid aur nauroz hai sab dil ke saath
dil nahīñ hāzir to duniyā hai ujaaḌ
khet raste par hai aur rah-rau savār
kisht hai sarsabz aur nīchī hai baaḌ
baat vaa.iz kī koī pakḌī ga.ī
in dinoñ kam-tar hai kuchh ham par latāḌ
tum ne 'hālī' khol kar nāhaq zabāñ
kar liyā saarī ḳhudā.ī se bigāḌ
Top Urdushayar.com