Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

jo muddaton mein kisi shoKH ka shabab aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
jo muddatoñ meñ kisī shoḳh kā shabāb aayā
rahīn-e-dāman-o-minnat-kash-e-hijāb aayā
numūd-e-shām huī vaqt-e-iztirāb aayā
jahān-e-ishq-o-mohabbat meñ inqalāb aayā
junūñ meñ ziist thī apnī tilism-e-bedārī
qazā ne aa ke sulāyā to ham ko ḳhvāb aayā
na dil meñ dard hī baaqī hai ab na aañkh meñ ashk
aḳhīr vaqt hai pāyān-e-iztirāb aayā
bas ab tamām huā intizār qāsid kā
ki zindagī kī taraf se hameñ javāb aayā
ġhazab thī bazm meñ saaqī kī tarz-e-mastāna
bharā huā na koī sāġhar-e-sharāb aayā
nizām-e-ālam-e-furqat ḳhilāf-e-qudrat thā
na māhtāb hī niklā na āftāb aayā
'nazar' iqāmat-e-duniyā kī ḳhatm muddat hai
ki ham bhī piir hue vaqt-e-pā-turāb aayā
Top Urdushayar.com