Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

subh ko hashr bhi hai kaT gai gar aaj ki raat

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
sub.h ko hashr bhī hai kaT ga.ī gar aaj kī raat
de rahā hai mirā dil kal kī ḳhabar aaj kī raat
mere nāloñ meñ ġhazab kā hai asar aaj kī raat
log thāme hue baiThe haiñ jigar aaj kī raat
zabt maane hai ki vo shoḳh shikāyat na kare
be-sadā aah bhī hai misl-e-asar aaj kī raat
TuuTe paḌte haiñ falak se bhī sitāre paiham
chunñe baiThā hai jo afshāñ vo qamar aaj kī raat
zabt-e-nāla ne ye andher kiyā siine meñ
ban gayā ghuT ke dhuāñ soz-e-jigar aaj kī raat
Top Urdushayar.com