haath rakhte hī thā hāl-e-qalb-e-muztar ā.īna
dast-e-nāzuk hai hasīnoñ kā muqarrar ā.īna
ban gayā ġhammāz shakl un kī dikhā kar ā.īna
jo hamārā rāz-e-dil thā ab hai un par ā.īna
toḌ kar dil tum ne khoyā imtiyāz-e-husn bhī
ik tumhāre paas thā yā ab hai ghar ghar ā.īna
dekhnā hai kis meñ achchhī shakl aatī hai nazar
us ne rakkhā hai mire dal ke barābar ā.īna
aa.ina rakkho lo ki duunā lutf aa.e vaqt-e-rañj
is taraf tum us taraf khīñche ho ḳhanjar ā.īna
aks se apne kisī ke garm-joshī qahr thī
rah gayā āḳhir pasīne meñ nahā kar ā.īna
shauq-e-ḳhud-bīnī sitam nīndeñ javānī kī ġhazab
be-ḳhabar sote haiñ vo rakkhā hai muñh par ā.īna
shoḳhiyoñ se ban gayā bijlī kisī kā aks bhī
ab to hāthoñ se nikaltā hai taḌap kar ā.īna
yuuñ kahāñ mumkin thā husn-e-ḳhās kā dīdār-e-ām
ban ga.ī āḳhir sarāpā sub.h-e-mahshar ā.īna
dekh leñ shāyad 'nazar' vo dīda-e-insāf se
le chalo TuuTe hue dil kā banā kar ā.īna