rahā karte haiñ mai-ḳhānoñ meñ ham pīr-e-muġhāñ ho kar
tabī.at zinda-dil rakhtī hai piirī meñ javāñ ho kar
chhupe the qabr meñ gardish-zada kyā shādmāñ ho kar
yahāñ bhī saath hai daurān-e-sarkā āsmāñ ho kar
huā hai shohra dāġhoñ kā nisār-e-gul-ruḳhāñ ho kar
uḌī bū-e-vafā merī nasīm-e-bostāñ ho kar
jhukegī rafta rafta shāḳh-e-naḳhl-e-qad kamāñ ho kar
khiñchegā tuul furqat kā zah-e-tīr-e-fuġhāñ ho kar
mushābah kar diyā kyuuñ zo.af ne un kī nazākat se
mujhe ḳhud apne uupar rashk aayā nā-tavāñ ho kar
ga.ī raunaq bhī chehre kī havās-o-aql jaate haiñ
uḌā sab rañg-e-ruḳh vahshat meñ gard-e-kārvāñ ho kar
zamīñ par sozish-e-ġham se giregā āsmāñ jal kar
sharār-e-dil chalā sar halqa-e-daur-e-fuġhāñ ho kar
tasadduq un pe hotā huuñ jo sho.ale dil se uThte haiñ
basar kartā huuñ maiñ parvāna-e-sham-e-fuġhāñ ho kar
fanā ho kar kahīñ miTtī hai yārab shorish-e-vahshat
fuġhāñ kartā huuñ maiñ zanjīr-e-bāb-e-lā-makāñ ho kar
ḳhudā samjhe hamārī āh-e-sozāñ se judā.ī meñ
ki saarī dil kī tāqat uḌ ga.ī muñh se dhuāñ ho kar
dil-e-nālāñ ne ham-sāyoñ ko bhī dushman kiyā apnā
rahā karte haiñ ham battīs dāñtoñ meñ zabāñ ho kar
hamesha se 'nazar' ham mahv-e-yād-e-rū-e-raushan haiñ
chamak is dard kī rassī se ham dil meñ nūr-e-jāñ ho kar