pas-e-tauba hadīs-e-mutrib-o-paimāna kahte haiñ
ye ik bhūlā huā par aaj ham afsāna kahte haiñ
koī ḳhūn-e-tamannā ho jhalak aatā hai ā.ankhoñ meñ
isī ko ittihād-e-bāda-o-paimāna kahte haiñ
tabāhī dil kī dekhī hai jo ham ne apnī ā.ankhoñ se
ho ab kaisī hī bastī ham use vīrāna kahte haiñ
fanā hone meñ soz-e-sham.a kī minnat-kashī kaisī
jale jo aag meñ apnī use parvāna kahte haiñ
jafā par sabr sīkhā hai vafā par jaan jaatī hai
yahī hai aur kis ko tohmat-e-mardāna kahte haiñ
tumhārī zulf-e-pechāñ meñ rahā kyūñ-kar dil-e-vahshī
tuḌā le jaa.e jo zanjīr use dīvāna kahte haiñ
ma.āz-allāh terā husn terī bazm-e-ishrat meñ
ye vo mahfil hai jis meñ sham.a ko parvāna kahte haiñ
yahāñ to jaan tak de dī 'nazar' pādāsh-e-ulfat meñ
magar bedād-gar baaqī abhī jurmāna kahte haiñ