Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

KHugar-e-lazzat hun main kis shoKH ki tazir ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
ḳhūgar-e-lazzat huuñ maiñ kis shoḳh kī ta.azīr kā
dil ko hasrat hai ki pahlū DhūñDiye taqsīr kā
thā mirā hañgāma-e-vahshat azal se peshtar
arsh kī zanjīr TukḌā hai mirī zanjīr kā
mar gayā zindāñ meñ jab maiñ vahshī-e-ātish-nafas
bujh gayā sho.ala charāġh-e-ḳhāna-e-zanjīr kā
saḳht-jānī se dil-e-muztar jo taḌpā vaqt-e-qatl
ban gayā sañg-e-fasāñ qātil tirī shamshīr kā
ho ke bismil ārzū-e-guftagū qātil se hai
har dahān-e-zaḳhm naqsha hai lab-e-taqrīr kā
itnī hai mashq-e-tasavvur intizār-e-qatl meñ
mardumak hai aañkh meñ jauhar tirī shamshīr kā
jaan kar ThanDī havā vo chain se sote to haiñ
dam bharūñ kyūñ-kar na āh-e-sard-e-be-tāsīr kā
hotā hai insān paidā vāste fariyād ke
ye ishāra hai sarīr-e-ḳhāma-e-tahrīr kā
ruuh aa jaatī hai tan meñ teġh-e-uryāñ dekh kar
murġh-e-jāñ bulbul hai bāġh-e-jauhar-e-shamshīr kā
aaj tak āvāz aatī hai dahān-e-gor se
hai ye madfan kushta-e-teġh-e-lab-e-taqrīr kā
aur duunā ġham uThāyā kī miTāne kī jo fikr
dāġh-e-hasrat ho gayā likkhā mirī taqdīr kā
rafta rafta yuuñ ghulāyā qaid meñ ġham ne 'nazar'
tauq-e-gardan paañv meñ halqa banā zanjīr kā
Top Urdushayar.com