hone lagī hai jism meñ jumbish to dekhiye
is par kaTe parinde kī koshish to dekhiye
gūñge nikal paḌe haiñ zabāñ kī talāsh meñ
sarkār ke ḳhilāf ye sāzish to dekhiye
barsāt aa ga.ī to darakne lagī zamīn
sūkhā machā rahī hai ye bārish to dekhiye
un kī appeal hai ki unheñ ham madad kareñ
chāqū kī pasliyoñ se guzārish to dekhiye
jis ne nazar uThā.ī vahī shaḳhs gum huā
is jism ke tilism kī bandish to dekhiye