pak ga.ī haiñ ādateñ bātoñ se sar hoñgī nahīñ
koī hañgāma karo aise guzar hogī nahīñ
in ThiThurtī uñgliyoñ ko is lapaT par señk lo
dhuup ab ghar kī kisī dīvār par hogī nahīñ
buuñd Tapkī thī magar vo būñdoñ bārish aur hai
aisī bārish kī kabhī un ko ḳhabar hogī nahīñ
aaj merā saath do vaise mujhe ma.alūm hai
pattharoñ meñ chīḳh hargiz kārgar hogī nahīñ
aap ke TukḌoñ ke TukḌe kar diye jā.eñge par
aap kī tāzīm meñ koī kasar hogī nahīñ
sirf shā.ir dekhtā hai qahqahoñ kī asliyat
har kisī ke paas to aisī nazar hogī nahīñ