Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

intizar-e-hashr kar sakte nahin nakaam-e-ishq

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
intizār-e-hashr kar sakte nahīñ nākām-e-ishq
aaj hī ho jaa.e honā ho jo kal anjām-e-ishq
ibtidā meñ dard-e-furqat maut hai anjām-e-ishq
ahl-e-dil ko nā-muvāfiq hai havā-e-bām-e-ishq
be-ḳhudī meñ DabDabā aa.e haiñ aañsū aañkh meñ
al-madad ai zabt chhalkā chāhtā hai jām-e-ishq
us kī ulfat ne kiyā rusvā-e-ālam kis qadar
uñgliyāñ uThtī haiñ jaate haiñ jidhar badnām-e-ishq
kyoñ nasīhat meñ tirī nāseh haiñ ye dil-sozīyāñ
kyā tire dil par guzarte haiñ mire ālām-e-ishq
chashm-e-giryāñ qalb-e-nālāñ kī shamātat qahr hai
donoñ mil kar ik mujhī ko dete haiñ ilzām-e-ishq
hasrateñ bhī aaj dil ke saath hī dam toḌ deñ
aage pīchhe saath vāloñ kā na ho anjām-e-ishq
baam par aa kar zarā bikhrā.iye zulf-e-darāz
phail jaa.e saare aalam meñ savād-e-shām-e-ishq
aur kyā e.ajāz hotā husn-e-lailā ke liye
mar gayā majnūñ magar zinda hai ab tak nām-e-ishq
chaar hī din meñ 'nazar' tum is qadar ghabrā ga.e
āsmāñ se koī pūchhe gardish-e-ayyām-e-ishq
Top Urdushayar.com