agar ḳhudā na kare sach ye ḳhvāb ho jaa.e
tirī sahar ho mirā āftāb ho jaa.e
huzūr āriz-o-ruḳhsār kyā tamām badan
mirī suno to mujassam gulāb ho jaa.e
uThā ke pheñk do khiḌkī se sāġhar-o-mīnā
ye tishnagī jo tumheñ dastiyāb ho jaa.e
vo baat kitnī bhalī hai jo aap karte haiñ
suno to siine kī dhaḌkan rabāb ho jaa.e
bahut qarīb na aao yaqīñ nahīñ hogā
ye aarzū bhī agar kāmyāb ho jaa.e
ġhalat kahūñ to mirī āqibat bigaḌtī hai
jo sach kahūñ to ḳhudī be-naqāb ho jaa.e