ek guḌiyā kī ka.ī kaTh-putliyoñ meñ jaan hai
aaj shā.ir ye tamāsha dekh kar hairān hai
ḳhaas saḌkeñ band haiñ tab se marammat ke liye
ye hamāre vaqt kī sab se sahī pahchān hai
ek būḌhā aadmī hai mulk meñ yā yuuñ kaho
is añdherī koTharī meñ ek raushan-dān hai
maslahat-āmez hote haiñ siyāsat ke qadam
tū na samjhegā siyāsat tū abhī nādān hai
kal numā.ish meñ milā vo chīthḌe pahne hue
maiñ ne pūchhā naam to bolā ki hindustān hai