Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

karobar-e-ishq ki kasrat kabhi aisi na thi

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
kārobār-e-ishq kī kasrat kabhī aisī na thī
dil na thā to tañgī-e-fursat kabhī aisī na thī
yaas se vīrānī-e-hasrat kabhī aisī na thī
dil meñ sannāTā na thā vahshat kabhī aisī na thī
un ke va.ade par hameñ jiinā paḌā hai hashr tak
varna tūlānī shab-e-furqat kabhī aisī na thī
dekh Daale zindagī meñ vasl-o-furqat ke tilism
ġham kabhī aisā na thā rāhat kabhī aisī na thī
aap ne bīmār-pursī kī to jiinā hai vabāl
varna marne kī mujhe hasrat kabhī aisī na thī
bā-mazā hai kis qadar inkār un kā vasl meñ
tujh meñ ai ḳhūn-e-jigar lazzat kabhī aisī na thī
dil ko kyā samjhā diyā naumīdī-e-jāved ne
parda-dār-e-ġham shab-e-furqat kabhī aisī na thī
zindagī kī kashmakash se mar ke paa.ī kuchh najāt
is se pahle ai 'nazar' fursat kabhī aisī na thī
Top Urdushayar.com