Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-KHwari nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
koī mujh sā mustahiqq-e-rahm-o-ġham-ḳhvārī nahīñ
sau maraz haiñ aur ba-zāhir koī bīmārī nahīñ
har qadam par bāġh-e-ālam meñ bichhā hai dām-e-husn
kaun aisā hai jise zauq-e-giraftārī nahīñ
dekhe gar ġhaur se duniyā hai ġhaflat kā tilism
ye bhī ḳhvāb-e-ishq hai furqat se bedārī nahīñ
jaan le kar bhī jo haath aa.e to arzāñ jāniye
sahal aisī jins-e-ulfat kī ḳharīdārī nahīñ
ishq kī nākāmiyoñ ne is qadar khīñchā hai tuul
mere ġham-ḳhvāroñ ko ab yārā-e-ġham-ḳhvārī nahīñ
mujh se zabt-e-dard-e-ulfat kī shikāyat hai fuzūl
ai dil-e-nādāñ tujhe ehsās-e-ḳhud-dārī nahīñ
merī daulat dekh kar kyuuñ tum ne ThanDī saañs lī
be-kasoñ par rasm-e-ā.īn-e-sitamgārī nahīñ
har taraf se ye sadā aatī hai mulk-e-husn meñ
ye vo duniyā hai jahāñ rasm-e-vafādārī nahīñ
ho gayā shāyad ki sarf-e-soz-e-ġham sab ḳhūn-e-dil
āñsuoñ kā ab vo dariyā aañkh se jaarī nahīñ
us ko rahm aa.e kahāñ ye nā-umīdī meñ umiid
dil ko ḳhush karnā hai shaġhl-e-girya-o-zārī nahīñ
ham haiñ chup baiThe hue lekin hai dil masrūf-e-ishq
is adīm-ul-fursatī kā naam bekārī nahīñ
band ā.ankhoñ se nazar aatī hai har shai dahr kī
ālam-e-rūyā meñ farq-e-ḳhvāb-o-bedārī nahīñ
Top Urdushayar.com