Kaukab Zaki

wo sang-dil mera rahbar hai kya kiya jae

Kaukab Zaki

Hyderabad, Telangana, India

1965
vo sañg-dil mirā rahbar hai kyā kiyā jaa.e
aur us ke haath meñ ḳhanjar hai kyā kiyā jaa.e
mire buzurgoñ ke sar par humā kā saaya thā
ye aaj ġhairoñ ke sar par hai kyā kiyā jaa.e
ye holī us ne jo khelī hai ātish-o-ḳhūñ kī
safīr-e-amn bhī shashdar hai kyā kiyā jaa.e
uḌeñgī dhajjiyāñ phir amn kī ki vo zālim
khaḌā huā sar-e-mimbar hai kyā kiyā jaa.e
ye taḳht-o-tāj ye mahloñ kā kal jo vaalī thā
vatan meñ apne hī be-ghar hai kyā kiyā jaa.e
batāo kaise jalā.ūñ maiñ sham.a ulfat kī
ki tez buġhz kī sarsar hai kyā kiyā jaa.e
'zakī' vo apnī safā.ī meñ ḳhvāh kuchh bhī kahe
gumān merā barābar hai kyā kiyā jaa.e
vo jis ne ḳhuun se sīñchā thā is chaman ko 'zakī'
ḳhilāf us ke hī mahzar hai kyā kiyā jaa.e
Top Urdushayar.com