roz afzūñ hai āb-o-tāb-e-suḳhan
tā qayāmat khulā hai bāb-e-suḳhan
mujh ko serī na ho sakī ab tak
go ki piitā rahā huuñ āb-e-suḳhan
is kā chaskā ajiib chaskā hai
chhūTtī hī nahīñ sharāb-e-suḳhan
'mīr'-o-'saudā'-o-'ġhālib'-o-'iqbāl'
khīñchte haiñ sabhī tanāb-e-suḳhan
be-shumār is ke haiñ 'zakī' dīvān
kyā kare koī ehtisāb-e-suḳhan