Kaukab Zaki

tera suluk mujhse hai aghyar ki tarah

Kaukab Zaki

Hyderabad, Telangana, India

1965
terā sulūk mujh se hai aġhyār kī tarah
āñkhoñ meñ jo khaTaktā huuñ maiñ ḳhaar kī tarah
mub.ham har ik baat sanam kī lage mujhe
iqrār bhī lage mujhe inkār kī tarah
shatranj jaisī mujh ko lage hai ye zindagī
chalnā har ek chaal samajhdār kī tarah
shā.ir samajh ke tujh ko bulāyā thā bazm meñ
ġhazloñ ko yuuñ na gā tū gulu-kār kī tarah
hosh-o-havās gum haiñ jo us ke firāq meñ
ḳhud ko samajh rahā huuñ maiñ bīmār kī tarah
saa.il tumhāre dar pe jo aa.e kabhī zakī
us ko navāziye kisī dildār kī tarah
qaabū meñ rakh zabān ko apnī sadā 'zakī'
rishtoñ ko kāTtī hai ye talvār kī tarah
Top Urdushayar.com