Kaukab Zaki

apne jalwon ko yun na aam karo

Kaukab Zaki

Hyderabad, Telangana, India

1965
apne jalvoñ ko yuuñ na aam karo
kuchh to parde kā ehtimām karo
zulmatoñ kī bisāt hī kyā hai
tum charāġhoñ kā intizām karo
ḳhush-dilī se milā karo sab se
ḳhanda-peshānī apnī aam karo
ye na bhūlo ki tum muhāfiz ho
yuuñ na insāñ kā qatl-e-ām karo
apne ajdād hoñ na sharminda
aisā vaisā na koī kaam karo
is se dil kā sukūn miltā hai
zikr allāh kā mudām karo
muflisoñ ko na dekho nafrat se
tum ġharīboñ kā ehtirām karo
yuuñ numā.ish karo na daulat kī
is burā.ī kā iḳhtitām karo
chāhte ho ki barguzīda hoñ
tum haqā.eq ko apne naam karo
mujh ko tum se baḌī mohabbat hai
mere jazbe kā ehtirām karo
aglī nasloñ ko jis se faiz mile
aisā duniyā meñ koī kaam karo
ye na.e ahd kā taqāza hai
qātiloñ kā bhī ehtirām karo
tez raftār hai zamāna 'zakī'
tum zakāvat ko tez-gām karo
Top Urdushayar.com