tujhe apnā banānā chāhtā huuñ
maiñ qismat āzmānā chāhtā huuñ
tujhe dil meñ biThānā chāhtā huuñ
na.ī duniyā basānā chāhtā huuñ
ġham-e-daurāñ se gar mil jaa.e fursat
maiñ hañsnā muskurānā chāhtā huuñ
bahut da.avā hai tujh ko dostī kā
tujhe bhī āzmānā chāhtā huuñ
bahut taḌpā rahī haiñ us kī yādeñ
maiñ us ko bhuul jaanā chāhtā huuñ
mire rab kī hifāzat meñ hai kashtī
ye tūfāñ ko batānā chāhtā huuñ
sabaq uns-o-mohabbat kā 'zakī' maiñ
zamāne ko paḌhānā chāhtā huuñ