Kaukab Zaki

aql-o-danish mein kisi se nahin kamtar hum log

Kaukab Zaki

Hyderabad, Telangana, India

1965
aql-o-dānish meñ kisī se nahīñ kamtar ham log
vaqt vāqif hai ki haiñ kitne qad-āvar ham log
kaise Dar jā.eñge dhamkī se tirī ai nādāñ
kyā tū vāqif nahīñ haiñ kitne dilāvar ham log
ham musalmān haiñ aur paḌhte haiñ haq kā kalima
saarī duniyā ke taqābul meñ haiñ bartar ham log
garche muflis haiñ magar daulat-e-dīñ rakhte haiñ
dekh kar ham ko na samjheñ ki haiñ kamtar ham log
sāmne lashkar-e-bātil thā hazāroñ kā magar
DaT ga.e haq ke liye bas the bahattar ham log
mashvara baunoñ ko ye hai ki sadā had meñ raheñ
aur bhūleñ na ki haiñ kitne qad-āvar ham log
sāzisheñ ham ko Dubone kī rachātā hai adū
ai 'zakī' kah do ki haiñ ḳhuub shanāvar ham log
Top Urdushayar.com