zaḳhm dil par lagā nahīñ hotā
haal aisā huā nahīñ hotā
zikr-e-jānāñ huā nahīñ hotā
zaḳhm-e-dil phir harā nahīñ hotā
chain se zindagī basar hotī
rog dil kā lagā nahīñ hotā
kuchh na kuchh baat ho ga.ī varna
dilrubā bevafā nahīñ hotā
uns iḳhlās aur vafādārī
dil meñ shā.ir ke kyā nahīñ hotā
dasht-o-sahrā meñ gar nahīñ phirte
paañv meñ aabla nahīñ hotā
tum se shikva hai bevafā.ī kā
sab se to ye gila nahīñ hotā
zulm baḌhtā hai roz zālim kā
ḳhatm ye silsila nahīñ hotā
chaar āñkheñ nahīñ huī hotīñ
pyaar kā hādisa nahīñ hotā
yaad aatī na ham ko jānāñ kī
jaam ġham kā bharā nahīñ hotā
adl ke beach koī haa.il hai
kyoñ koī faisla nahīñ hotā
kahkashāñ chāñd titliyāñ jugnū
zikr-e-jānāñ meñ kyā nahīñ hotā
rab ko be-shak pukārte haiñ ham
jab koī aasrā nahīñ hotā
haar jaatā huuñ maiñ anā se 'zakī'
sar ye kyoñ ma.arka nahīñ hotā