is chāñd se chehre ko dikhā kyuuñ nahīñ dete
hasrat ye mire dil kī miTā kyuuñ nahīñ dete
ḳhalvat meñ to kahte ho ki tum jaan ho merī
ye baat zamāne ko batā kyuuñ nahīñ dete
ye baat agar sach hai ki tum pīr-e-muġhāñ ho
is riñd ko jī bhar ke pilā kyuuñ nahīñ dete
maqsūd nahīñ nasl kī islāh agar ho
aslāf ke ausāf batā kyuuñ nahīñ dete
aḳhlāq se kirdār se ulfat se jahāñ meñ
nafrat ke añdheroñ ko miTā kyuuñ nahīñ dete
maiñ ho ke vafādār bhī mulzim huuñ jafā kā
phir merī vafāoñ ko bhulā kyuuñ nahīñ dete
nafrat ke ghaTā-Top añdhere meñ 'zakī' tum
ik sham.a mohabbat kī jilā kyoñ nahīñ dete