huuk uThtī hai mire qalb kī gahrā.ī meñ
us kī yaad aatī hai jab raat kī tanhā.ī meñ
ab to do vaqt kī roTī bhī nahīñ miltī hai
zindagī kaise kaTegī mirī mahñgā.ī meñ
aaj aayā vo mire ghar to ye mahsūs huā
māhtāb utrā ho jaise mirī añgnā.ī meñ
merī āñkhoñ se nikal aa.e ḳhushī ke aañsū
beTī ruḳhsat jo huī gūñjtī shahnā.ī meñ
ghar meñ mehmāñ agar aa.eñ to ḳhushī hotī hai
maiñ kasar kuchh nahīñ rakhtā huuñ pazīrā.ī meñ
na to roTī hī mayassar hai na kapḌā na makāñ
zindagī yuuñ bhī guzar jaatī hai kaThinā.ī meñ
husn aisā hai ki ā.īne ko hairāñ kar de
ik vafā kī hī kamī hai mire harjā.ī meñ
kaise ash.ār meñ lā.egā ġhazal kī ḳhushbū
vo jo masrūf hai bas qāfiya paimā.ī meñ
dāḳhila merā hī mamnūa hai gulshan meñ 'zakī'
jab ki ḳhuuñ maiñ ne diyā baaġh kī zebā.ī meñ
ai 'zakī' maiñ ne bhī ye ḳhvāh nahīñ samjhā thā
un kī sāzish rahī shāmil mirī paspā.ī meñ