Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

koi arman talash-e-dost ka kyun dil mein rah jata

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
koī armāñ talāsh-e-dost kā kyuuñ dil meñ rah jaatā
ġhubār apnā agar gard-e-rah-e-manzil meñ rah jaatā
nahīñ ma.alūm kis muddat se ḳhanjar tishna-e-ḳhūñ thā
koī ḳhatra lahū kā kyuuñ tan-e-bismil meñ rah jaatā
safā.ī kab thī mumkin ye ġhubār-e-dil vo kāfir hai
mire dil se nikaltā bhī to us ke dil meñ rah jaatā
jalā aur jal ke soz-e-rashk se dil bujh gayā fauran
agar hotā charāġh-o-sham.a us mahfil meñ rah jaatā
ta.assuf hai ġhubār-e-qais kī parvāz-e-hasrat par
lipaT kar kaash thoḌā parda-e-mahmil meñ rah jaatā
na detā gar sahārā kuchh umīd-e-vasl kā tūfāñ
shanāvar bahr-e-ġham kā hasrat-e-sāhil meñ rah jaatā
is ā.īne meñ gar vo dekh lete rū-e-anvar ko
to kyuuñ itnā baḌā dhabba mah-e-kāmil meñ rah jaatā
na miltā mudda.ā-e-dil diram miltā jo mun.im se
magar ik daaġh ban kar vo kaf-e-sā.il meñ rah jaatā
nishāñ us kā kahīñ miltā surāġh us kā kahīñ lagtā
to apnā paañv kyuuñ thak kar rah-e-manzil meñ rah jaatā
'nazar' ham ko ilāqa sher se kyā par ye hasrat hai
na rahte ham to apnā zikr us mahfil meñ rah jaatā
Top Urdushayar.com