tum mire ghar jo shab basar karte
raat bhar jashn bām-o-dar karte
tum jo aate mire tasavvur meñ
mere sheroñ ko mo'atabar karte
chhā ga.e hote saarī duniyā par
nek a.amāl tum agar karte
jaan lete tum us kī fitrat ko
saath us ke kabhī safar karte
tujh ko manzil kā gar patā hotā
ham tujhe apnā rāhbar karte
multafit kyoñ hue ho ġhairoñ par
tum mire haal par nazar karte
ham ko miltā 'zakī' agar gustāḳh
zindagī us kī muḳhtasar karte