apnī ḳhushiyoñ pe to farhat bhī nahīñ kar sakte
ham to iz.hār-e-masarrat bhī nahīñ kar sakte
hākim-e-vaqt hai ab ḳhud hī madad-gār-e-sitam
us se zulmoñ kī shikāyat bhī nahīñ kar sakte
tum ko maañ baap ne paidā kiyā paalā posā
tum ki maañ baap kī ḳhidmat bhī nahīñ kar sakte
is qadar TuuT ke chāhā thā kabhī ham ne tujhe
ham tujhe chaah ke nafrat bhī nahīñ kar sakte
tum ne zulfoñ meñ kiyā qaid mirī nīñdoñ ko
kyā rihā kar ke ināyat bhī nahīñ kar sakte
itne mānūs haiñ ham terī galī se jānāñ
ham tire shahr se hijrat bhī nahīñ kar sakte
un ko ye zo.am ki vo ḳhud haiñ maballiġh ai 'zakī'
shaiḳh sāhab ko nasīhat bhī nahīñ kar sakte
ham asīrān-e-rivāyat kī ye mushkil hai 'zakī'
ham rivāyat se baġhāvat bhī nahīñ kar sakte