maiñ kahā bolnā shab ġhair se thā tum ko kyā
muskurā kahne lagā shauq mirā tum ko kyā
jo kahā maiñ ki bure taur nikāle tum ne
pher kar muñh ko lagā kahne bhalā tum ko kyā
shikva us but ke jafā kā jo kiyā maiñ to kahā
tum to duniyā meñ ho ik ahl-e-vafā tum ko kyā
dard-e-sar dushmanoñ ke un ke huā raat so maiñ
juuñ hī ghabrā ke ye pūchhā to kahā tum ko kyā
taan kar muñh pe dupaTTa ba-dam-e-sard kahā
tum lage pūchhne kyuuñ haal mirā tum ko kyā
har ghaḌī tum jo malāmat mujhe karte ho 'havas'
aap maiñ dām-e-mohabbat meñ phañsā tum ko kyā