Mirza Mohammad Taqi Hawas

us pari-ru ne na mujhse hai nibahi kya karun

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836
us parī-rū ne na mujh se hai nibāhī kyā karūñ
sar kidhar paTkūñ kidhar jā.ūñ ilāhī kyā karūñ
vasl kā din hai vale āñkhoñ ke mere sāmne
hai khaḌī shab-hā-e-hijrāñ kī syāhī kyā karūñ
taḳhta taḳhta ho gayā tūfāñ meñ aa kar jahāñ
tum se ai yaar bayāñ apnī tabāhī kyā karūñ
hai to vo dushman pe mahzar dekh kar ḳhuun kā mire
sochtā hai is pe meñ apnī gavāhī kyā karūñ
TukḌe TukḌe dil huā jaatā hai pahlū meñ 'havas'
zab.h kartī hai butāñ kī kam-nigāhī kyā karūñ
Top Urdushayar.com