hañste the mire haal ko jo yaar dekh kar
un sab ne ro diyā mujhe bīmār dekh kar
sab ham-safīr chhoḌ ke tanhā chale ga.e
kunj-e-qafas meñ mujh ko giraftār dekh kar
kyā jaane kyā ġhazab hai ye jaadū bharī nigāh
ġhash kar gayā huuñ maiñ jise yak baar dekh kar
ḳhūn-e-jigar ke saath kahīñ jī chalā na jaa.e
ronā zarā tū dīda-e-ḳhūñ-bār dekh kar
apne 'havas' pe jab se ki tū mehrbāñ huā
jalte haiñ raat din use aġhyār dekh kar