Mirza Mohammad Taqi Hawas

jangalon mein justuju-e-qais-e-sahrai karun

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836
jañgaloñ meñ justuju-e-qais-e-sahrā.ī karūñ
kab talak DhūñDūñ kahāñ tak jāda-paimā.ī karūñ
gar koī maane na ho vaañ sajda karne kā mujhe
āstān-e-yār par barsoñ jabīñ-sā.ī karūñ
bazm-e-hastī meñ nahīñ juz bekasī apnā rafīq
kis kī ḳhātir dosto maiñ mahfil-ārā.ī karūñ
ġhārat-e-dil kā jo kartā hai irāda tark-e-chashm
ġhamza kahtā hai maiñ tārāj shakebā.ī karūñ
le ga.e jab tere dīvāne ko iisā ne kahā
har ghaḌī maiñ kyā ilāj-e-mard-e-saudā.ī karūñ
āshnā koī nazar aatā nahīñ yaañ ai 'havas'
kis ko maiñ apnā anīs-e-kunj-e-tanhā.ī karūñ
Top Urdushayar.com