ham se vārafta ulfat haiñ bahut kam paidā
haath se kho na hameñ hoñge na phir ham paidā
iltiyām is kā jo hai lutf-e-butāñ par mauqūf
zaḳhm-e-dil kā mire hotā nahīñ marham paidā
bad na kah bad ko ki sannā-e-bad-o-nek hai ek
ḳhār-o-gul hote haiñ ik shāḳh se bāham paidā
nahīñ abrū tire ruḳhsār ke sajde ke liye
aks-e-añgusht-e-shahādat ne kiyā ḳham paidā
maiñ bhī huuñ bā.is-e-ījād 'havas' ik shai kā
merī ḳhātir mire ḳhāliq ne kiyā ġham paidā