Mirza Mohammad Taqi Hawas

main na samjha bulbul be-baal-o-par ne kya kaha

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836
maiñ na samjhā bulbul be-bāl-o-par ne kyā kahā
gosh-e-gul meñ qāsid-e-bād-e-sahar ne kyā kahā
naza.a ke dam bhī zi-bas lailā ko maan.e thā hijāb
chupke chupke roī aur us nauhagar ne kyā kahā
tere vahshī se abas tujh ko ḳhafā karte haiñ log
sab ye bāteñ jhūTh thiiñ us be-ḳhabar ne kyā kahā
saiñkaḌoñ rañgīniyāñ paidā kiiñ us ne vaqt-e-qasd
ḳhūn-e-majnūñ se zabān-e-neshtar ne kyā kahā
nāma-bar ko gāliyāñ diiñ us ne sun kar merā naam
muñh ko taktā rah gayā aur nāma-bar ne kyā kahā
ho gayā us ko pahan kar aur bhī maġhrūr vo
kaan meñ us shoḳh ke silk-e-guhar ne kyā kahā
joḌnā un kā nihāyat ai 'havas' dushvār thā
dil ke TukḌe dekh mere shīshagar ne kyā kahā
Top Urdushayar.com