hue aaj būḌhe javānī meñ kyā the
jab uTThe the zaanū se haath āshnā the
jahāñ kī to har chiiz meñ ik maza thā
na samjhe ki kis shai ke ham mubtalā the
na kāfir se ḳhil.at na zāhid se ulfat
ham ik bazm meñ the pa sab se judā the
na thā mere jañgal meñ āzād koī
bagūle bhī pāband-e-zulf-e-havā the
mazār-e-ġharīb ta.assuf kī jā hai
vo sote haiñ phirte jo kal jā-ba-jā the
banā kar bigāḌā hameñ kyuuñ jahāñ meñ
ye sab harf kyā sahv-e-kilk-e-qazā the
kiye āḳhirī naale do-chār maiñ ne
vahī naale bāñg-e-shikast-e-darā the
ḳhudā jaane duniyā meñ kis ko thī rāhat
'havas' ham to jiine se apne ḳhafā the