pahle ham ishq kiyā karte the
haañ kabhī ham bhī jiyā karte the
apne dāman kī kabhī fikr na kī
chaak auroñ ke siyā karte the
pahle har haal meñ ḳhush rahte the
jaane kyā kaam kiyā karte the
chāhne vaale bahut the lekin
ham bas ik naam liyā karte the
kabhī aañsū to kabhī mai 'aḳhtar'
jo mayassar thā piyā karte the