Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

baad muddat jo main ai charKH-e-kuhan yaad aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
ba.ad muddat jo maiñ ai charḳh-e-kuhan yaad aayā
kyā sitam koī nayā mushfiq-e-man yaad aayā
sher kahtā thā ki mazmūn-e-dahan yaad aayā
ik muamma ye dam-e-fikr-e-suḳhan yaad aayā
ahl-e-duniyā ko kisī din na huī fikr-e-adam
kyā musāfir haiñ ki jin ko na vatan yaad aayā
dekh kar abr-e-bahārī mirī nisbat badlī
sehn-e-gulshan meñ dil-e-tauba-shikan yaad aayā
rishta-e-jāñ meñ girah paḌ ga.ī uljhan ke sabab
dil ko jab gesū-e-pur-pech-o-shikan yaad aayā
pā ke sar-chashma-e-haivāñ jo phir aayā ulTā
kyā 'sikandar' ko tirā chāh-e-zaqan yaad aayā
miT ga.ī dil ke na hone se vo dāġhoñ kī bahār
ai 'nazar' vaqt-e-ḳhizāñ ham ko chaman yaad aayā
Top Urdushayar.com