Mirza Mohammad Taqi Hawas

be-wajh nahin gard pareshan pas-e-mahmil

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836
be-vaj.h nahīñ gard pareshāñ pas-e-mahmil
aatā hai koī be-sar-o-sāmāñ pas-e-mahmil
az-bas kashish-e-ishq se āgāh thī lailā
thī dekhtī vo fitna-e-daurāñ pas-e-mahmil
kis soḳhta kī ḳhaak se uTThā hai bagūlā
ik sho.ala-e-javvāla hai pechāñ pas-e-mahmil
fikr-e-qadam-e-nāqa huā qais ko paidā
dekhā jo haiñ sahrā-e-muġhīlāñ pas-e-mahmil
ai nāqa-kash itnī bhī na tū tez-ravī kar
majnūñ zi-ḳhud-o-rafta hai nālāñ pas-e-mahmil
shāyad maiñ use dekhūñ 'havas' bā-lab-e-ḳhandāñ
jaatā huuñ is ummīd pe giryāñ pas-e-mahmil
Top Urdushayar.com