yahī kahtī lailī-e-soḳhta-jāñ nahīñ khātī adab se ḳhudā kī qasam
ġham-e-qais sivā mujhe ġham nahīñ kuchh usī kushta-e-nāz-o-adā kī qasam
kabhī kahtā thā qais ġhazāloñ se jā kaho naaqa yaañ se kidhar ko gayā
kabhī kahtā thā tū hī batā.e sabā tujhe lailā kī zulf-e-dotā kī qasam
tire kushta-e-ġham kā hai haal batar yahī kahiyo jo jaanā ho terā udhar
tujhe qāsid-e-mauj-e-nasīm-e-sahar mirī hijr kī shab kī bukā kī qasam
aa.ī 'havas' mujhe phūloñ kī bū kabhī baiThā na jā ke maiñ bar-lab-e-jū
mirī tañgi-e-dil to ga.ī na kabhū mujhe bāġh-e-jahāñ ke fazā kī qasam