Mirza Mohammad Taqi Hawas

hue aazim-e-mulk-e-adam jo hawas to KHushi ye hui thi ki gham se chhuTe

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836
hue āzim-e-mulk-e-adam jo 'havas' to ḳhushī ye huī thī ki ġham se chhuTe
par farāġh alam se na vaañ bhī milā vaañ ġham ye huā ki vo ham se chhuTe
kabhī dair meñ the kisī but pe fidā kabhī ka.abe meñ karte jā ke duā
tire kūche meñ baiThe to ḳhuub huā ki kashākash-e-dair-o-haram se chhuTe
yahī kahtī thī lailī-e-parda-nashīñ ki firāq kī ab use taab nahīñ
milūñ us se maiñ tā mirā qais-e-hazīñ ġham-e-hijr ke dard-o-alam se chhuTe
maiñ huā bhī jo bismil-e-teġh-e-jafā vale baaqī hai dil meñ abhī ye vafā
ki yaqīñ hai lahū mirā jā-e-hinā jo lage to na pā-e-sanam se chhuTe
na ho basta-e-chīn-e-kamand-o-rasan rahe bhāgtā hai vo ba-dasht-e-ḳhutan
tirī chashm ho us pe jo sāya-fagan kabhī pā-e-ġhazāl na ram se chhuTe
na kyuuñ shākī hoñ baḳht-e-siyāh se ham ki vo mādin-e-shafqat-o-lutf-o-karam
kare nāla-e-shauq jo ham ko raqam to syāhī na nok-e-qalam se chhuTe
mujhe rah meñ mile the vo bāñdhe kamar chale jaate the baaġh ko vaqt-e-sahar
unheñ laatā pakaḌ mujhe kis kā thā Dar pa fareb ke qaul-o-qasam se chhuTe
hue ḳhauf se gosha-guzīn asas gayā siina pilañg-e-falak kā jhulas
shab-e-hijr meñ yaaro baġhair-e-'havas' mire naale jo sher ajam se chhuTe
Top Urdushayar.com