dekheñ kyā ab ke asīrī hameñ dikhlātī hai
log kahte haiñ ki phir fasl-e-bahār aatī hai
ġhash chalā aatā hai aur aañkh muñdī jaatī hai
ham ko kyā kyā mirī be-tāqatī dikhlātī hai
kyā sunā us ne kahīñ ruḳhsat-e-gul kā mazkūr
andalīb aaj qafas meñ paḌī chillātī hai
tā.er-e-rūh ko parvāz kā har dam hai ḳhayāl
qafas-e-tan meñ mirī jaan ye ghabrātī hai
dekh rote mujhe hañs hañs kahe jaanā har dam
jaan se mujh ko to terī ye adā bhātī hai
bazm-e-hastī meñ tū baiThā hai 'havas' kyā ġhāfil
kuchh jo karnā hai tū kar umr chalī jaatī hai